siyah-KHana-e-dil par nazar bhi karta hai

siyah-khana-e-dil par nazar bhi karta hai
meri khataon ko wo darguzar bhi karta hai

parind unchi udanon ki dhun mein rahta hai
magar zamin ki hadon mein basar bhi karta hai

tamam umr ke dariya ko mod deta hai
wo ek harf jo dil par asar bhi karta hai

wo log jin ki zamana hansi udata hai
ek umr baad unhen mo'tabar bhi karta hai

jala ke dasht-e-talab mein ummid ki shamen
aziyyaton se hamein be-khabar bhi karta hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close