sun le ye iltimas mera dostana hai hushiyar ho ki tir-e-ajal ka nishana hai kab tak rahegi masnad-e-kam-khwab zer-e-pa kahe khamida yar tera shamiyana hai duniya ke makhmase hain ye farzand-o-aqraba begana sab se ho ki ajal ka yagana hai ai andalib-e-jaan-e-chaman jism par na phul virana ek roz tera aashiyana hai anfas-e-mustaar pe kya eatibar-e-zist ek dam mein misl-e-mauj-e-saba to rawana hai ye jalwa-e-ha-e-bu-qalmun be-sabaat hain hai zindagi tilism-e-jahan ek fasana hai rukti nahin hai bag kisi shahsawar se har-dam samand-e-umr ko ek taziyana hai kya sar-kashan-e-dahar ke qisse nahin sune kya ho gae wo log kahan wo zamana hai kahna tha jo 'nasim' tujhe sab suna chuke nazdik ikhtitam tera karkhana hai