suna ki KHub hai uske dayar ka mausam

suna ki khub hai us ke dayar ka mausam
dilon pe chhane laga phir khumar ka mausam

kabhi kabhi to badan ko pata nahin chalta
ki bagh-e-ruh mein kab aaya pyar ka mausam

main us gulab ko naraaz kar nahin sakta
bhale hi ruth ke jae bahaar ka mausam

ye khauf dil mein ubharta hai dard ki surat
badal na jae kahin e'tibar ka mausam

main khud bhi milne ko bechain hun ye jab se suna
meri talash mein hai intizar ka mausam

tamam aab-o-hawa mein gulal bikhra hai
ki rang laya hai us ke nikhaar ka mausam

khile hue hain umidon ke phul dil mein magar
guzar na jae kahin intizar ka mausam

bade maze se abhi tak guzar rahe hain din
isi tarah rahe qaem khumar ka mausam

yahan kabhi bhi khizan ka guzar nahin hoga
yahan hamesha rahega bahaar ka mausam

sukun-e-qalb mayassar ho khwab pure hon
kabhi to aae dil-e-be-qarar ka mausam

kisi tarah bhi na inkar ki hai gunjaish
ki hai uruj pe qaul-o-qarar ka mausam

wo achchhe-achchhon ko khatir main ab na lata hai
ki in dinon to hai us ke nikhaar ka mausam


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close