tajjub ye nahin hai gham ke maron ko na chain aaya tadapna dekh kar mera sitaron ko na chain aaya badhi be-tabi-e-dil jab to bahne hi lage aansu mere ham-rah in pinhan sitaron ko na chain aaya rahe gardish mein sari raat meri be-qarari par bade hamdard nikle chand taron ko na chain aaya hamare aashiyan tak baat rah jati to achchha tha jala jab tak na sab gulshan shararon ko na chain aaya koi be-khud hua be-tab ho kar rah gaya koi naqab-e-husn uthne par hazaron ko na chain aaya zamane ke taghayyur ne kiya barbaad gulshan ko khizaon ko na chain aaya bahaaron ko na chain aaya thapede un ko bhi khane pade amwaj tufan ke meri kashti ke bais hi kinaron ko na chain aaya gham-e-dauran gham-e-jaanan gham-e-uqba gham-e-duniya 'kanwal' is zindagi mein gham ke maron ko na chain aaya