talash-e-yar mein guzri hai zindagi tanha

talash-e-yar mein guzri hai zindagi tanha
bhatak raha hun andheron mein aaj bhi tanha

wahan to sans bhi lena azab lagta hai
sisak rahi ho jahan koi zindagi tanha

akela main hi nahin hun asir-e-zulmat-e-gham
bujha bujha hai andheron mein chand bhi tanha

tamam chand sitaron ka nur ek taraf
aur ek samt hai suraj ki raushni tanha

mere khulus mein shayad kami hai kuchh warna
mujhi se karte hain kyun log dushmani tanha

kisi ki zulf ka saya talash kar warna
'asar' guzar na sakegi ye zindagi tanha


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close