Talne ke nahin ahl-e-wafa KHauf-e-ziyan se

talne ke nahin ahl-e-wafa khauf-e-ziyan se
ye bahs magar kaun kare ahl-e-zaman se

rag rag mein rawan bahr-e-fughan chadh gaya lekin
virani-e-jaan kam to hui zikr-e-butan se

roghan na safedi na marammat se milega
ek pas-e-maraatib ki gaya sab ke makan se

aazar-o-musibat se ilaqa hai purana
rishta hai qadimi mera fariyaad-o-fughan se

ghaw bhi zara tak ke yaron ne lagae
kuchh dil ko bhi nisbat thi bahut nok-e-sinan se

ek gosha-e-dil us ko dikhane ka nahin ye
mahram nahin karna use ek sirr-e-nihan se

sarsabz rahe zakhm-e-junun jis ki badaulat
ek rabt to qaem hai adu-e-dil-o-jaan se


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close