tamam raat wo jaga kisi ke wade par

tamam raat wo jaga kisi ke wade par
wafa ko aa hi gai nind raat dhalne par

jo sab ka dost tha har anjuman ki raunaq tha
kal us ki lash mili us ke ghar ke malbe par

wo zauq-e-fan ho ki shakh-e-chaman ki khak-e-watan
har ek ka haq hai mere khun ke qatre qatre par

haqiqaten nazar aaen to kis tarah un ko
tassubaat ki ainak hai jin ke chehre par

chaman mein yun to the kuchh aur aashiyan lekin
giri jo barq to mere hi aashiyane par

karam mujhi pe tha sab baghban-o-gulchin ka
kisi ne qaid kiya aur kisi ne noche par

ye dasht-e-huzn hai karb-o-bala ka sahra hai
chalega kaun yahan ab 'wafa' ke raste par


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close