tamam-tar usi KHana-KHarab jaisa hai

tamam-tar usi khana-kharab jaisa hai
mere lahu ka nasha bhi sharab jaisa hai

naha raha hun main us ke badan ki kirnon mein
wo aadmi hai magar mahtab jaisa hai

karun talash jawahar to ret hath aae
samundaron ka chalan bhi sarab jaisa hai

jala gaya mujhe apne badan ki thandak se
wo jis ka rang dahakte gulab jaisa hai

'qatil' kaam-o-dahan apna sath den ki na den
wafa ka zaiqa lekin shabab jaisa hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close