tamam umr ki tanhai ki saza de kar tadap utha mera munsif bhi faisla de kar main ab marun ki jiyun mujh ko ye khushi hai bahut use sukun to mila mujh ko bad-dua de kar main us ke waste suraj talash karta hun jo so gaya meri aankhon ko rat-jaga de kar wo raat raat ka mehman to umr bhar ke liye chala gaya mujhe yaadon ka silsila de kar jo wa kiya bhi daricha to aaj mausam ne pahad dhanp diya abr ki rida de kar kati hui hai zamin koh se samundar tak mila hai ghao ye dariya ko rasta de kar chatakh chatakh ke jali shakh shakh jangal ki bahut sharar mila aag ko hawa de kar phir is ke baad pahad us ko khud pukarenge tu laut aa use wadi mein ek sada de kar sutun-e-reg na thahra 'adim' chhat ke tale main dhah gaya hun khud apne ko aasra de kar
This is a great best tadap shayari. Please share if you liked this!!!