taqsim tum mutabiq-e-mehnat na kar sake

taqsim tum mutabiq-e-mehnat na kar sake
taslim hum mutabiq-e-qismat na kar sake

jin ko talash manzil-e-isnaniyat ki thi
gumrah un ko ahl-e-siyasat na kar sake

tujh pe ki juthe hain ye sabhi lafz khalq ke
hum fash apni pak mohabbat na kar sake

hum aariyon se unko bachate rahe magar
wo aandhiyon se apni hifazat na kar sake

ek lau hue khayal to kuchh raushni hui
jab tak sharar the chaara-e-zulmat na kar sake

tufan zalzala kabhi sailab aa gaya
pur-amn to khuda bhi hukumat na kar sake

samjha ki tum bhi dekh lo 'jaanib' jahan ko
waise ye kaam isa se hazrat na kar sake


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close