taqwe ke liye jannat-o-kausar hue makhsus rindi ke liye shisha-o-saghar hue makhsus pabandi-e-ahkaam-e-shariat hai wahan farz rindon ko rukh-e-saqi-o-saghar hue makhsus qaem hai wahan din bhi duniya bhi ba-ummid hum ko karam-e-rahmat-e-dawar hue makhsus shekhi hai wahan jubba-o-dastar pe mauquf rindi ko yahan tark-e-tan-o-sar hue makhsus hai kashf-o-karamat wahan maya-e-pindar sauda aur ziyan hum ko barabar hue makhsus hain khirqa-o-ammama wahan pir-e-tariqat yan kufr-o-sanam hadi-o-rahbar hue makhsus mauquf jo iman pe rahe masjid-o-mimbar 'sahir' ko sanam-khana-o-saghar hue makhsus