taras raha hun adam aarmida khushbu ko kahan se dhund ke laun ramida aahu ko zahe-nasib ki taskin de raha hai aaj tumhaara husn mere ishq-e-sar-ba-zanu ko chamak raha hai teri rah mein teri khatir hai intizar tera har diye ko jugnu ko sitam ki ahl-e-mohabbat bhi rah gae nakaam samajh na pae jamal-e-hazar-pahlu ko utara umr-e-gurezan ke raste jogi ne hamare sar se kai joginon ke jadu ko hazar hile bahane se 'krishn-mohan' ne shikar-e-shauq kiya hai nigar-e-dil-ju ko