tarwar khinch hum ko dikhate ho jab na tab kya mar rahe jawan ko satate ho jab na tab taqsir hum se kaun si aisi hui wuqua munh par jo hath mere dhiraate ho jab na tab az-bas mizaj hum se tumhaara kashida hai aazurda baat mein hue jate ho jab na tab ab to rakha hai kat hamara ye aap ne ghairon se mil patang udate ho jab na tab ek baat ka hamari batangad banate ho sau jhut sach ko apne chhupate ho jab na tab ai waizo ye kya tumhein bakwas lag gai meri suno tum apni hi gate ho jab na tab hum dard-e-dil kahen to jawab is maze se do qissa 'muhib' ye kis ko sunate ho jab na tab