taufiq se kab koi sarokar chale hai

taufiq se kab koi sarokar chale hai
duniya mein faqat tala-e-bedar chale hai

thahrun to chatanon si kaleje pe khadi hai
jaun to mere sath hi diwar chale hai

har ghuncha bade chaw se khilta hai chaman mein
har daur ka mansur sar-e-dar chale hai

rangon ki na khushbu ki kami hai dil-o-jaan ko
tosha jo chale sath wo ek khar chale hai

dil ke liye bas aankh ka mear bahut hai
jo sikka-e-jaan hai sar-e-bazar chale hai

hairat se shagufon ki jhapakti nahin aankhen
kis aan se kanton ka kharidar chale hai

khurshid wahan hum ne sulagte hue dekhe
kirnon ka jis aashob mein bewpar chale hai

ek jumbish-e-mizhgan ki ijazat bhi nahin hai
dil sath chala hai ki sitamgar chale hai

the khizr bhi lakhon yahan isa bhi bahut the
aazar jo dil ka hai so aazar chale hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close