tawajjoh un ki kya kam ho gai hai bala-e-jaan shab-e-gham ho gai hai khirad ka nur kya phaila jahan mein dilon ki raushni kam ho gai hai rahi hogi kabhi jannat ye duniya magar ab to jahannam ho gai hai atom-zadon ye mearaj-e-taraqqi harif-e-ibn-e-adam ho gai hai shikast-e-khwab tanzim-e-gulistan dalil-e-azm-e-mohkam ho gai hai khazaf ka mol jab se badh gaya hai sadaf ki aabru kam ho gai hai kabhi waqf-e-tarab thi zindagani magar ab sirf matam ho gai hai