taziyat ki khokhli hai rasm jari aaj-kal

taziyat ki khokhli hai rasm jari aaj-kal
is tarah se ho rahi hai gham-gusari aaj-kal

log nange panw hain aur kirchiyan hain farsh par
aur is par maut ka hai raqs jari aaj-kal

shauq hai hum ko tamasha dekhne ka aur yahan
rahnuma bhi mil gae hain kuchh madari aaj-kal

ab nisab-e-ishq mein shamil nahin mehr-o-wafa
ho gae hain ye mazamin ikhtiyari aaj-kal

jit par us ka yaqin pukhta hua ye dekh kar
aa rahi hai nafraton mein paedari aaj-kal

ye kaha tha man se wo man rakhta hai mera
ho rahi hai ja-ba-ja par sharmsari aaj-kal

muddaton ke baad wo paikar hua hai mehrban
hai magar parhez-gari hum pe tari aaj-kal

bakht kya jage mere duniya shanasa ho gai
sab ki mujh se ho gai hai rishtedari aaj-kal

zindagi kamyab hone ka khasara ye bhi hai
qatilon mein badh gai be-roz-gari aaj-kal


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close