tera ye husn-e-be-karan muqayyad zaman hai magar tujhe ai zindagi kahan koi guman hai nishan kho gaya mein apne aap apne aap ka jahan koi ho be-nishan wahin mera nishan hai na dekh ai is is tarash-tir ko zara ye dekh aa ki kis ke hath mein kaman hai ye dawat-e-jihad be-mahal nahin hai ai zamin kisi faqir be-hunar ka aakhiri bayan hai main rahraw-e-siraat-e-rahzan tha thodi der ko samajh raha tha main meri na aankh hai na kan hai meri nawa-e-aman be-nawa nahin hai ai falak abhi bhi jism-e-na-tawan mein bolne ki jaan hai safon mein samain ke jo to bhi aa gaya to sun teri bisat-e-justuju ka aaj imtihan hai