tere baghair gul-o-nastaran pe kya guzri

tere baghair gul-o-nastaran pe kya guzri
na puchh ab ke bahaar-e-chaman pe kya guzri
maal-e-jurat-e-mansur kuchh sahi lekin
sawal ye hai ki dar-o-rasan pe kya guzri
hamin to hain ki jo barq-o-sharar se khele hain
hamin se puchh rahe ho chaman pe kya guzri
qafas mein aaj ye kaise charagh raushan hain
ilahi khair na jaane chaman pe kya guzri
pahunch ke manzil-e-maqsad pe ye bhi sochenge
ki shab-rawi mein dil-e-rahzan pe kya guzri
mujhe shikast-e-nasheman ka gham nahin lekin
ye sochta hun ki ahl-e-chaman pe kya guzri
taraqqiyan to zamane ne kin bahut 'arshad'
magar batao to arbab-e-fan pe kya guzri