tere dayar mein koi bhi ham-zaban na mila

tere dayar mein koi bhi ham-zaban na mila
hazar naqsh mile koi raazdan na mila

main sochta hun ki ye bhi hasin hain lekin
tasawwur-e-rukh-e-jaanan ka imtihan na mila

ye sach nahin hai ki chhutne ke baad jaan-e-visal
tujhe zamin na mili mujh ko aasman na mila

ada-e-khas mili aur sala-e-am mili
magar kahin bhi wo andaz-e-jaan-e-jaan na mila

gada-shanasi-e-ahal-e-karam musallam hai
hum uth ke jis ke qadam len wo pasban na mila

jahan bhi dekha wahin paya tujh ko jaan-e-visal
teri nigah ka partaw kahan kahan na mila

wo dil hi kya jo mohabbat se aashna na hua
safina kya wo jise bahr-e-be-karan na mila

kise sunaen ghazal bahr-e-sharh-e-dil 'masud'
ki is dayar mein koi bhi nukta-dan na mila


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close