tere intizar mein kya mila tere etibar ne kya diya

tere intizar mein kya mila tere e'tibar ne kya diya
kabhi koi zakhm tapan hua kabhi koi dagh khila diya

ye shab-e-safar bhi wabaal hai na firaq hai na visal hai
isi shab ne nind haram ki isi shab ne hum ko sula diya

mere shahr-e-gul meri arz-e-jaan kahin koi un ka bhi hai nishan
teri be-khayal hawaon ne jinhen raste se hata diya

jise dast-e-zulm chhupa sake na hawa-e-jaur bujha sake
sar-e-rah-e-manzil-e-zindagi wo charagh hum ne jala diya

yahi gham garan tha so rafta rafta tere surur-e-khayal ne
safar-e-hayat ki mushkilat ko bhulna bhi sikha diya


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close