tere jaisa mera bhi haal tha na sukun tha na qarar tha

tere jaisa mera bhi haal tha na sukun tha na qarar tha
yahi umr thi mere ham-nashin ki kisi se mujh ko bhi pyar tha

main samajh raha hun teri kasak tera mera dard hai mushtarak
isi gham ka tu bhi asir hai isi dukh ka main bhi shikar tha

faqat ek dhun thi ki raat-din isi khwab-zar mein gum rahen
wo surur aisa surur tha wo khumar aisa khumar tha

kabhi lamha-bhar ki bhi guftugu meri us ke sath na ho saki
mujhe fursaten nahin mil sakin wo hawa ke rath par sawar tha

hum ajib tarz ke log the ki hamare aur hi rog the
main khizan mein us ka tha muntazir use intizar-e-bahaar tha

use padh ke tum na samajh sake ki meri kitab ke rup mein
koi qarz tha kai sal ka kai rat-jagon ka udhaar tha


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close