tere nazdik aa kar sochta hun

tere nazdik aa kar sochta hun
main zinda tha ki ab zinda hua hun

jin aankhon se mujhe tum dekhte ho
main un aankhon se duniya dekhta hun

khuda jaane meri gathri mein kya hai
na jaane kyun uthae phir raha hun

ye koi aur hai ai aks-e-dariya
main apne aks ko pahchanta hun

na aadam hai na aadam-zad koi
kin aawazon se sar takra raha hun

mujhe is bhid mein lagta hai aisa
ki main khud se bichhad ke rah gaya hun

jise samjha nahin shayad kisi ne
main apne ahd ka wo saneha hun

na jaane kyun ye sansen chal rahi hain
main apni zindagi to ji chuka hun

jahan mauj-e-hawadis chahe le jae
khuda hun main na koi nakhuda hun

junun kaisa kahan ka ishq sahab
main apne aap hi mein mubtila hun

nahin kuchh dosh us mein aasman ka
main khud hi apni nazron se gira hun

tarare bhar raha hai waqt ya rab
ki main hi chalte chalte ruk gaya hun

wo pahron aaina kyun dekhta hai
magar ye baat main kyun sochta hun

agar ye mahfil-e-bint-e-inab hai
to main aisa kahan ka parsa hun

gham-e-andesha-ha-e-zindagi kya
tapish se aagahi ki jal raha hun

abhi ye bhi kahan jaana ki 'mirza'
main kya hun kaun hun kya kar raha hun


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close