tere nisar na dekhi koi KHushi maine

tere nisar na dekhi koi khushi main ne
ki ab to maut ko samjha hai zindagi main ne

ye dil mein soch ke tauba bhi tod di main ne
na jaane kya kahe saqi agar na pi main ne

koi bala mere sar par zarur aaegi
ki teri zulf-e-pareshan sanwar di main ne

sahar hui shab-e-wada ka iztirab gaya
sitare chhup gae gul kar di raushni main ne

siwae dil mujhe dair-o-haram se kya matlab
jagah huzur ke milne ki dhund li main ne

jahan chala diya saghar ka daur ai waiz
wahin pe gardish-e-ayyam rok di main ne

balaen lene pe aap itne ho gae barham
huzur kaun si jagir chhin li main ne

duaen do mujhe dar dar junun mein phir phir kar
tumhaari shohraten kar din gali main ne

jawab us ka to shayad falak bhi de na sake
wo bandagi jo teri rahguzar mein ki main ne

wo jaane kaise pata de gae the gulshan ka
na chhoda phul na chhodi kali kali main ne

'qamar' wo nind mein the un ko kya khabar hogi
ki un pe shab ko lutai hai chandni main ne


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close