teri gali mein main na chalun aur saba chale

teri gali mein main na chalun aur saba chale
yun hi khuda jo chahe to bande ki kya chale
kis ki ye mauj-e-husn hui jalwagar ki yun
dariya mein jo habab the aankhen chhupa chale
hum bhi jaras ki tarah to is qafile ke sath
nale jo kuchh bisat mein the so suna chale
kah baithiyo na 'dard' ki ahl-e-wafa hun main
us bewafa ke aage jo zikr-e-wafa chale
Please share if you liked this!!!