teri nigah ka andaz kya nazar aaya

teri nigah ka andaz kya nazar aaya
darakht se hamein saya juda nazar aaya

bahut qarib se aawaz ek aai thi
magar chale to bada fasla nazar aaya

ye raste ki lakiren bhi gum na ho jaen
wo jhadiyon ka naya silsila nazar aaya

ye raushni ki kiran hai ki aag ka shoala
har ek ghar mujhe jalta hua nazar aaya

kali kali ki sada gunjne lagi dil mein
jahan bhi koi chaman-ashna nazar aaya

suno to kis liye patthar uthae phirte ho
kaho to aaina-khane mein kya nazar aaya

ye dopahar ye pighalti hui sadak 'baqi'
har ek shakhs phisalta hua nazar aaya


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close