teri taskin ka sabab kaun-o-makan hai ki nahin

teri taskin ka sabab kaun-o-makan hai ki nahin
ruh-parwar ye jahan-e-guzaran hai ki nahin

din ki zau-tabiyan tarik fazaen shab ki
pichhli raaton ke dhundalke se ayan hai ki nahin

nara-e-dar-o-rasan hadisa-e-kaun-o-makan
khufta-jaanon ke liye khwab-e-giran hai ki nahin

khud kham-o-pech tujhe rah ke batla denge
teri thokar mein tera sud-o-ziyan hai ki nahin

teri zulfen tera rukh teri jabin teri nazar
ye chaman aaina-dida-waran hai ki nahin

is nazar se wo mujhe dekhte rahte hain 'kalim'
garm khun garm nafas garm-e-fughan hai ki nahin


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close