teri taswir se rahmat barasti hai guru-nanak

teri taswir se rahmat barasti hai guru-nanak
kare tarif teri kis ki hasti hai guru-nanak

hamein ummid hai jati rahegi teri koshish se
hamare mulk mein jo tang-dasti hai guru-nanak

mitaya naqsh tu ne dahr se baatil parasti ka
tere dam se zuhur-e-haq barasti hai guru-nanak

mukhalif ko tere kyunkar bulandi-e-maraatib ho
baghawat se natija us ka pasti hai guru-nanak

kharidari na ho kyunkar tere bazar-e-talqin mein
najat-o-maghfirat ki jins sasti hai guru-nanak

banaegi muridon ko tere be-khauf mahshar mein
sharab-e-nab-e-wahdat se jo masti hai guru-nanak

hisab-e-roz-e-mahshar se nahin kuchh 'barq' ko khatra
jo teri yaad is ke dil mein basti hai guru-nanak


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close