teri ulfat mein na jaane kya se kya ho jaunga tu ne gar chaha to ek din main khuda ho jaunga qatl kar ke mat samajhna main fana ho jaunga jal ke apni rakh se phir runuma ho jaunga main kisi darwesh ke lab ki dua ho jaunga be-sahaara zindagi ka aasra ho jaunga raat-bhar baitha raha mein tham kar yaadon ka hath dil ko khadsha tha ki main tujh se juda ho jaunga samne thahra hun tere jaan le pahchan le chal pada to badhte badhte fasla ho jaunga waqt ke sahra mein tum paoge mere naqsh-e-pa main azal se ta-abad ek silsila ho jaunga main sama jaunga khushbu ki tarah har phul mein patti patti ghuncha ghuncha runuma ho jaunga rah ka patthar sahi gar tu tarashega mujhe dekhte hi dekhte main dewta ho jaunga