tha ek saya sa pichhe pichhe jo mud ke dekha to kuchh nahin tha ab apni surat ko dekhta hun kabhi jo sad-paikar-afrin tha wo phir bhi jaan se aziz-tar tha tabiaten go juda juda thin agarche ham-zad bhi nahin tha wo mera ham-shakl bhi nahin tha main ruk sakunga thahar sakunga thakan safar ki mita sakunga kahin to koi shajar milega tamam raste yahi yaqin tha kai chatanen gudaz jismon mein apni garmi se dhal gai thin buton ke qisse mein tesha-karon ka tazkira bhi kahin kahin tha na jaane kya dhund darmiyan thi ki kohkan ki nazar na pahunchi jahan se phuta tha chashma-e-mah-shab ka patthar bhi to wahin tha main apni aawaz ke taaqub mein mawara-e-nazar bhi pahuncha magar palat kar na us ne puchha ki main khala ke bahut qarin tha wahi manazir lute lute se wahi shikasta makan 'akhtar' main roz-marra ke raste se jo ghar mein pahuncha bahut hazin tha