tha jahan madrasa-e-shiri-o-shahanshahi

tha jahan madrasa-e-shiri-o-shahanshahi
aaj in khanqahon mein hai faqat rubahi

nazar aai na mujhe qafila-salaron mein
wo shabani ki hai tamhid-e-kalimul-lahi

lazzat-e-naghma kahan murgh-e-khush-alhan ke liye
aah us bagh mein karta hai nafas kotahi

ek sarmasti o hairat hai sarapa tarik
ek sarmasti o hairat hai tamam aagahi

sifat-e-barq chamakta hai mera fikr-e-buland
ki bhatakte na phiren zulmat-e-shab mein rahi


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close