thakan ghaalib hai dam TuTe hue hain

thakan ghaalib hai dam tute hue hain
safar jari qadam tute hue hain

ba-zahir to hain salim jism-o-jaan se
magar andar se hum tute hue hain

adhure hain yahan sare ke sare
sabhi to besh-o-kam tute hue hain

bura ho e'timad-e-bahami ka
ki sab qaul-o-qasam tute hue hain

talluq tutne ko hai jahan se
chalo ki band-e-gham tute hue hain

khuda ka ghar na bakhsha zalimon ne
kai dair-o-haram tute hue hain

unhen munsif nahin qatil kaho tum
ki sab un ke qalam tute hue hain


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close