thakan to agle safar ke liye bahana tha

thakan to agle safar ke liye bahana tha
use to yun bhi kisi aur samt jaana tha

wahi charagh bujha jis ki lau qayamat thi
usi pe zarb padi jo shajar purana tha

mata-e-jaan ka badal ek pal ki sarshaari
suluk khwab ka aankhon se tajirana tha

hawa ki kat shagufon ne jazb kar li thi
tabhi to lahja-e-khushbu bhi jarehana tha

wahi firaq ki baaten wahi hikayat-e-wasl
nai kitab ka ek ek waraq purana tha

qaba-e-zard nigar-e-khizan pe sajti thi
tabhi to chaal ka andaz khusrawana tha


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close