tham zara waqt-e-ajal didar-e-jaan hone laga

tham zara waqt-e-ajal didar-e-jaan hone laga
aakhiri hichki pe koi mehrban hone laga

kis sitamgar ne uda li yaad-e-mazi ki bayaz
har gali har mod par qissa bayan hone laga

jaane kis gul ne chaman ki hurmaten pamal kin
mausam-e-fasl-e-bahaaran bhi khizan hone laga

dafn kar ke qabr mein jab ja chuke ahbab dost
jo kabhi socha na tha wo imtihan hone laga

dast-o-pa shal ho gae hain quwwaten zail huin
zindagani ka safar aage rawan hone laga

khwahishon ki chah mein khusran ke saude kiye
manfat samjha jise aakhir ziyan hone laga

koi wada aaj tak ifa nahin tum ne kiya
baat sachchi thi magar wo bad-guman hone laga

panw ki aahat ne mujh ko gor mein chaunka diya
hichkiyon ka saz dil ka tarjuman hone laga

kaisi khush-fahmi tumhein kis baat ka gharra 'umid'
aa gae hain aqraba waqt-e-azan hone laga


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close