thi nazare ki ghat aankhon mein kat gai sari raat aankhon mein dekho un aankhon ki sukhan-goi hai shararat ki baat aankhon mein talkh baaten hain mithi nazren hain zahar munh mein banat aankhon mein rona qismat mein hai marun kyunkar hai ye aab-e-hayat aankhon mein wo jo dekhe jiyun na dekhe marun hai hayat-o-mamat aankhon mein dekhiye chashm-e-afw-e-rahmat se 'mehr' ki hai najat aankhon mein