thik hai ujli yaad ka rishta apne dil se tuta bhi dariya dariya aag ugalta lekin tum ne dekha bhi mere safar ki pahli manzil jaane kab tak aaegi hanp raha hai sadiyon purana budha nanga rasta bhi shor sharaba andar andar bahar gahri khamoshi jag uthega ab ke shayad koi baghi lamha bhi sagar moti sip ke qisse baaton tak mahdud rahe jholi jholi khali sab ki sab ka man hai maila bhi mausam mausam yaad mein teri tanha hum ne kat diye ek lamhe ke mel ka rishta sach hai koi rishta bhi pahle din se rit hai ye to phir in mein pachhtana kya pyar wafa ke khel mein 'arif' ho jata hai dhoka bhi