thokar se dusron ko bachane ka shukriya patthar ko raste se hatane ka shukriya ab ye bataen aap ki main kya madad karun farzi kahani mujh ko sunane ka shukriya mere bahut se kaam adhure nahin rahe ai dost itne roz na aane ka shukriya tanha nahin raha tere jaane ke baad main kuchh ajnabi ghamon se milane ka shukriya itni khushi mili ki sambhaali nahin gai do-chaar lamhe mujh pe lutane ka shukriya mahbub tere hijr mein karta hun shairi mujh ko kisi thikane lagane ka shukriya