tifli piri o naujawani hech tin din ki hai zindagani hech umr-e-do-roza par ghamand itna munimon ki hai lan-tarani hech raat thodi hai aao pyar karen subh ko hogi ye kahani hech chaar din ki bahaar hai sari ye takabbur hai yar-e-jaani hech dil ke hathon 'haqir' jhagdon mein meri guzri sada jawani hech