tilism-e-koh-e-nida jab bhi TuT jaega

tilism-e-koh-e-nida jab bhi tut jaega
to karwan-e-sada bhi palat ke aaega

khinchi rahengi saron par agar ye talwaren
mata-e-zist ka ehsas badhta jaega

hawaen le ke udengi to barg-e-awara
nishan kitne nae raston ka paega

main apne qatl pe chikha to dur dur talak
sukut-e-dasht mein ek irtiash aaega

kiwad apne isi dar se kholte nahin hum
siwa hawa ke unhen kaun khatkhataega

hawaen gard se har raste ko dhak dengi
hamare baad koi qafila na jaega

yunhi dubota raha kashtiyan agar sailab
to sath-e-ab pe chalna bhi aa hi jaega


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close