tilsmati faza takht-e-sulaiman par liye jaana mere ghar mein utarti sham ka manzar liye jaana wo asbab-e-shikast-o-fatah khud hi jaan jaega alam jab hath se chhute to mera sar liye jaana garaj ke sath bijli bhi chamakti hai pahadon mein musafir hai ki tufani hawa ko ghar liye jaana khule jate hain jaise dil ke sare band darwaze ab un qadmon ki aahat kya samaat par liye jaana wahan sunte nahin hain dekhte hain zakhm-e-peshani agar jaana to aaina pas-e-jauhar liye jaana gali ki khak mutthi mein liye hain chahne wale 'zubair' is kimiya ko tum bhi chutki-bhar liye jaana