tir-e-nazar ne zulm ko ehsan bana diya tarkib-e-dil ne dard ko darman bana diya sad shukr aaj ho gai takmil ishq ki apne ko khak-e-kucha-e-jaanan bana diya kotahi koi dast-e-junun se nahin hui daman ko ham-kanar-e-gireban bana diya chhodi hai jab se main ne salamat-rawi ki chaal dushwariyon ko rah ki aasan bana diya ai mishal-e-ummid ye ehsan kam nahin tarik shab ko tu ne darakhshan bana diya husn-afrin hua hai tasawwur jamal ka dil ko hawa-e-gul ne gulistan bana diya zohd aur ittiqa pe mujhe apne naz tha khud main ne tujh ko dushman-e-iman bana diya aaina-e-jamal ko dekhunga kis tarah us ne to pahle hi mujhe hairan bana diya wo imtiyaz-e-husn hai mani o lafz ka 'wahshat' ko jis ne 'ghaalib'-e-dauran bana diya