tu apne husn ki aaraishon mein gum ho ja mujhe na dekh mere sath sogwar na ho teri nazar ki ye aawargi tujhe malum khuda kare ki kabhi mujh pe aashkar na ho ye marhala bhi meri wahshaton mein baqi hai ki dil ke dard mein tera koi shumar na ho kabhi to ho ki kare tu bhi pyar ke wade kabhi to ho ki mujhe tera eatibar na ho ye soch kar tere daman se hath khinch liya kahin ye dast-e-wafa tujh ko nagawar na ho na jaane kyun isi tashwish mein guzari umr ki zindagi kisi dast-e-karam pe bar na ho