tu hai mani parda-e-alfaz se bahar to aa

tu hai mani parda-e-alfaz se bahar to aa
aise pas-manzar mein kya rahna sar-e-manzar to aa

aaj ke sare haqaeq wahimon ki zad mein hain
dhaalna hai tujh ko khwabon se koi paikar to aa

tu sahi ek aks lekin ye hisar-e-aina
log tujh ko dekhna chahen barun-e-dar to aa

zaiqa zakhmon ka yun kaise samajh mein aaega
phenkna hai band pani mein koi patthar to aa

jism-e-khaki tujh ko shishe ki haweli hi sahi
ai charagh-e-jaan kabhi fanus ke bahar to aa

is jagah aahang mein dhalti hain dil ki dhadkanen
aa mere gahwara-e-ehsas ke andar to aa

bar-ha ji mein ye aai umr-e-rafta se kahun
sham hone ko hai ai bhule musafir ghar to aa


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close