tufan ki zad pe apna safina jab aa gaya sahil ko mauj mauj ko sahil bana gaya munh takte takte thak gain hirman-nasibiyan har inqalab-e-shauq ki himmat badha gaya zauq-e-nazar ki jurat bebak al-aman rang-e-hayat ban ke fazaon pe chha gaya tharra ke sham-e-anjuman-e-aish bujh gai nairang-e-nur-e-subh-o-manzar dikha gaya ijz-e-rah-e-niyaz ke qurban jaiye naqsh-e-qadam ko naqsh-e-tamanna bana gaya itna karam bhi jabr-e-mohabbat ka kam nahin ghut ghut ke marne walon ko jina sikha gaya shoale se kyun lapakte hain gulshan se bar bar 'yaqub' kya bahaar ka mausam phir aa gaya