tujh badan par jo lal sari hai aql us ne meri bisari hai baal dekhe hain jab sun main tere zulf si dil kun be-qarari hai qad alif sa hua mera jiyun dal ishq ka bojh sakht bhaari hai sab ke sine ko chhed dala hai palk teri magar katari hai odhni udi par kanari zard gird shab ke suraj ki dhaari hai qahr o lutf o tabassum-o-khanda teri har ek ada piyari hai tirchhi nazran sun dekhna hans hans mor se chaal tujh niyari hai zinda 'faez' ka dil hua tujh sun husn tera bi faiz-e-bai hai
This is a great lal hont shayari. Please share if you liked this!!!