tujhe kya hua hai bata ai dil na sukun hai na qarar hai kabhi us hasin ki chah hai kabhi us nigar se pyar hai jo samajh mein aae wo baat kya ye muamalat hain ishq ke ki naqab rukh pe rahe magar hai yaqin ye wahi yar hai ye hain apne zehn ke aks sab yahan asl kya hai khayal kya ye khizan ke rang hain be-khabar to samajh raha hai bahaar hai wo bhala sa nam tha kya kahun mujhe khud bhi yaad nahin raha meri zindagi ke qarib mein wo jo ek musht-e-ghubar hai safar-e-talash-e-sukun mein badhe aur dard ke silsile mujhe manzilon ki khabar nahin yahan sirf dasht hain khar hai mujhe dard aisa hai chaaragar yahi puchh bas ke kahan nahin ye yahan wahan ka sawal kya ki jigar mein mere sharar hai tu hai gharq dahr mein sar talak hai yahin ke sud ki fikr bas tera zohd kaisa ajib hai ki faqat sharab se aar hai