tujhi se ibtida hai tu hi ek din intiha hoga sada-e-saz hogi aur na saz-e-be-sada hoga hamein malum hai hum se suno mahshar mein kya hoga sab us ko dekhte honge wo hum ko dekhta hoga sar-e-mahshar hum aise aasiyon ka aur kya hoga dar-e-jannat na wa hoga dar-e-rahmat to wa hoga jahannam ho ki jannat jo bhi hoga faisla hoga ye kya kam hai hamara aur un ka samna hoga azal ho ya abad donon asir-e-zulf-e-hazrat hain jidhar nazren uthaoge yahi ek silsila hoga ye nisbat ishq ki be-rang lae rah nahin sakti jo mahbub-e-khuda ka hai wo mahbub-e-khuda hoga isi ummid par hum taliban-e-dard jite hain khosha dard de ki tera aur dard-e-la-dawa hoga nigah-e-qahr par bhi jaan-o-dil sab khoe baitha hai nigah-e-mehr aashiq par agar hogi to kya hoga siyana bhej dega hum ko mahshar se jahannam mein magar jo dil pe guzregi wo dil hi jaanta hoga samajhta kya hai tu diwangan-e-ishq ko zahid ye ho jaenge jis jaanib usi jaanib khuda hoga 'jigar' ka hath hoga hashr mein aur daman-e-hazrat shikayat ho ki shikwa jo bhi hoga barmala hoga