tum jalwa dikhao to zara parda-e-dar se

tum jalwa dikhao to zara parda-e-dar se
hum thak gae nazzara-e-khurshid-o-qamar se

majbur-e-numaish nahin kuchh husn hi un ka
hum bhi to hain majbur taqaza-e-nazar se

bachhda hua jaise koi milte hi lipat jae
yun tir tera aa ke lipatta hai jigar se

katte nahin kyun sham-e-judai ke ye lamhe
milti nahin kyun zulmat-e-shab ja ke sahar se

karna hai kisi din use ham-dosh-e-surayya
hai aah abhi tak meri mahrum asar se

ho jaen hamesha ke liye aap jo mere
main mang lun kuchh umr yahan umr-e-khizar se

aisa to na kar paega koi bhi fusun-kar
wo kar gae jo sadgi-e-husn-e-nazar se

aasuda-e-manzil nahin aagah-e-saubat
mahrum hai wo lazzat-e-duri-e-safar se


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close