tum mil gae to koi gila ab nahin raha

tum mil gae to koi gila ab nahin raha
main apni zindagi se khafa ab nahin raha

pahle meri nigah mein duniya haqir thi
main apne sathiyon se juda ab nahin raha

ab bhi usi darakht ke niche milenge hum
saya agarche us ka ghana ab nahin raha

tere qadam ne jaan kahani mein dal di
qissa hamara be-sar-o-pa ab nahin raha

ab meri apne aakhiri dushman se jang hai
maidan mein koi mere siwa ab nahin raha

hum ko usi dayar ki mitti hui aziz
naqshe mein jis ka nam-pata ab nahin raha


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close