tum se ulfat ke taqaze na nibahe jate

tum se ulfat ke taqaze na nibahe jate
warna hum ko bhi tamanna thi ki chahe jate

dil ke maron ka na kar gham ki ye andoh-nasib
zakhm bhi dil mein na hota to karahe jate

kam-nigahi ki hamein khud bhi kahan thi taufiq
kam-nigahi ke liye uzr na chahe jate

kash ai abr-e-bahaari tere bahke se qadam
meri ummid ke sahra mein bhi gahe jate

hum bhi kyun dahr ki raftar se hote pamal
hum bhi har laghzish-e-masti ko sarahe jate

lazzat-e-dard se aasuda kahan dil wale
hain faqat dard ki hasrat mein karahe jate

hai tere fitna-e-raftar ka shohra kya kya
garche dekha na kisi ne sar-e-rahe jate

di na mohlat hamein hasti ne wafa ki warna
aur kuchh din gham-e-hasti se nibahe jate


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close