tumhaare nam kar baithe dil-o-jaan ki khushi sahab hasin-o-dil-nasin lagti hai ab to zindagi sahab milan ki saaton mein jaan-fiza khushbu anokhi hai hama-dam raqs karti hai ajab ek be-khudi sahab tar-o-taza hui mitti meri bas ek lamhe mein hunar ab aazmao aur karo kuza-gari sahab tumhaare ek harf-e-khush-numa par war dun ghazlen sukhan ki jaan ho tum aur qalam ki raushni sahab sitare git gate hain samundar raqs karta hai mukammal ho gae hum tum nahin koi kami sahab yahi sach hai ki hum tum mukhtalif hain aur logon se zamane mein misali hai hamari ham-rahi sahab ki jab bhi hath mere bargah-e-rab mein uthte hain tashakkur lab pe hota hai nigahon mein nami sahab